My Blog List

Friday, April 22, 2011

Zindagi Badal Rahi Hai..

by Rishab Sinha



Shayad zindagi badal rahi hai..
Jab mein chotta tha, shayad duniya bahut badi hua karti thi..
Mujhe yad hai mere ghar se school tak ka wo rasta, kya kya nahi tha wahaan..
Chaat ke thele, jalebi ki dukaan, barf ke gole, sab kuch..
Aaj wahaan “mobile shop”, “video parlour” hain, fir bhi sab soona hai..

Shayad shaamein bahut lambi hua karti thi.
Mein patang ki dor pakde, ghanton udaya karta tha,
Woh lambi “cycle race”, woh bachpan ke cricket matches, har shaam thaak ke choor ho jaana..
ab sham nahi hoti, ab seedhe din dhalta hai aur raat ho jaati hai..
shayad waqt simat raha hai..


jab mein chotta tha, shayad dosti bahut gahri hua karti thi,
din bhar wo huzoom bana kar khelna, woh doston ke ghar ka khana, woh ladkiyon ki baatein,
woh saath hasna aur woh saath rona..
ab bhi mere kai dost hain, par dosti jaane kahaan kho gayi hai,
jab bhi traffic signal par milte hain, “hi” karte hain aur apne apne raaste nikal jaate hain..
Holi, Diwali, janamdin, naye saal par bas SMS aa jaate hain..

Jab mein chotta tha tab khel bhi mazedar hua karte the,
Chupan chupai, Langdi taang, Loha lakka, Maaram pitti, Gilli danda..
Ab toh internet blogging aur facebook se fursat hi nahi milti..

Sahi mein shayad zindagi badal rahi hai..
Zindagi ka sabse bada sach yahi hai..jo aksar kabristaan ke bahar board par likha hota hai-

MANZIL TOH YAHI THI, BAS SAARI ZINDAGI GUZAR GAYI YAHAAN AATE AATE..’

Zindagi ka lamha bahut chotta sa hai..
Kal ki koi buniyaad nahi hai aur aane waala kal sirf sapno mein hai..
Ab bach gaye iss pal mein, khwaaishon se bhare is zindagi mein sirf bhaag rahe hain..

ISLIYE ZINDAGI KO JIYO NAA KI SIRF KAATO..!!


5 comments:

  1. Saw the by Rishab Sinha part in the end.
    Otherwise I was wondering - tune bachpan mein kab patang udai?
    Aur humare school ke raaste mein kab jalebi ki dukaan aur chat ke thele aa gaye ? :P

    ReplyDelete
  2. nyc piece of work..........surprisingly it came from rishab.......one thing was very shocking.....risha bachpan me ladkiyo ki baatein kartha tha.....can dis be true......:P

    ReplyDelete
  3. sinha ji kaafi acha likh leto ho
    kya baat hai .............

    ReplyDelete
  4. @ujju: haha...yar ek bar to mujhe b yad hai mene uduai thi..

    @anonymous: ab ye to ap rishab se hi pucho

    ReplyDelete
  5. awsome....those wre d dayz...:(

    ReplyDelete